Hai Zameene karbal par dard ka ajab manzar
Jaa raha hai maqtal ko HamShabeehe PaiGhambar
Aur widaa karne ko laake maut ke dar par
Apne dil ke tukde se keh rahi hai yeMaadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Aa Main Apne haatho'n se phir sawaar lun zulfein
Paas baith ja kar lun Tujh se do ghadi baatein
Dekhne ko tarsengi tujh ko ab Meri aankhein
MereLaal aa Tujh ko dekh lun Main ji bhar kar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Dhoop ki tamaazat hai teen din ke pyaase ho
Tum pa sadge ho jaaun do ghadi thehr jaao
Maa ko chhorh kar Beta ja rahe ho magqtal ko
Haay Tum se pehle hi kyun na mar gayi Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Maa ne tujh ko paala tha kitni aarzuon se
Kya bataaaun MainBeta dil me kitne armaan the
Ab na dekh paaungi phool Tere sehre ke
Qalb tukde hota hai kis tarah kahe Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Har qadam pa hoega saamna andheron ka
Ab charaagh bujhta hai zindagi ki raahon ka
Noor leke jaate ho tum hamari aankhon ka
Tum ko dhu'ndne nikle kis ka aasra le kar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Baad tere kaise Main zindagi guzaarungi
Teri chaand si surat Main kabhi na paaungi
Zindagi ka har lamha Tera Gham manaungi
Jee ke kya kare Maadar Tere bin Ali Akbar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Zindagi ka har lamha ham pa bojh hoega
Aankh khushk hoegi qalb khoon roega
Sar zameen e maqtal par MeraLaal soega
Haayye bhi kehne ko zinda reh gayi Maadar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar
Rukhsat e Ali Akbar ke ajeeb lamhe the
Yu'n Rasheed khaime se Akbar e Jawaa'n nikle
Ek janaza nikla ho jis tarah bhare ghar se
Keh rahi thi ro ro kar Maadar e Ali Akbar
Jao ab Khuda Hafiz aye Mere Ali Akbar