Kanz e Aza

Laut ke Ghar Aajao

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Rasheed Shaheedi. Lyrics in Roman Urdu.

laut ke ghar aajao baba

aaj sakina hogayi tanha


baba ye maahol hai kaisa

zulm ka hai andaaz niraala

kaash chacha aa jaata mera

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


aao mujhe godhi mein uthaalo

baba mujhe seene se lagalo

khaak pe hai bechain sakina

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


jaan bhi lele tashna dahani

ab nahi maangungi mai pani

ammu se ye keh ke khudara

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


bhai ali akbar bhi khafa hai

mera chacha bhi rooth gaya hai

kaun mujhe ab dega dilaasa

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


kaise apna jee behlaaun

ab tak yun hi ashk bahaun

kis ko pukarun kaun hai mera

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


phail rahe hai shaam ke saaye

chaane lage har soo andhiyare

baba dil ghabraata hai mera

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


ab ye sakina so nahi sakti

gham mein musalsal ro nahi sakti

mera bistar aap ka seena

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


dekho meri gardan mein rasan hai

durron se sab zakhmi badan hai

chin gaye gohar jal gaya kurta

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


zaalim ne maare hai tamache

kaan hai zakhmi soyun mai kaise

aao dekho haal hamara

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


kehti thi ro ro ke sakina

mushkil hai ab mera jeena

aur na ab tadpao baba

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


aane mein ab dayr na karna

dekho kehna maan lo mera

baba mar jaayegi sakina

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...


bain rasheed us bibi ke sun kar

rote thay paiham abid e muztar

tha ye musalsal uska nauha

aajao baba

laut ke ghar aajao baba...