loriyan de ke jise zindan ne sulaya hoga
seena baba ka tujhe yaad to aaya hoga
khaakh ka aaj bichona hai naseebon mein tere
haa kabhi baap ne tujhe seene pe sulaya hoga
loriya deke jise…
pyaas baba ki tujhe yaad to aayi hogi
pani fizza ne jo honton pe lagaya hoga
loriya deke jise…
kano se lahoo behta hai ruqsar hai neele
is haal mein dushwaar hai ek saans bhi lena
neend aati nahi khaak ke bistar pe mujhe to
amma mujhe kyun milta nahi baba ka seena
shimr bhoolegi bhala kaise tamache tere
chain masooma ne mar kar bhi na paaya hoga
loriya deke jise…
haye zanjeeron mein jakda tha janaza tera
kaise bemaar ne zindan se uthaya hoga
loriya deke jise…
zindan mein ro ro ke ye kehti thi sakina
khulwado rasan tum mujhe baba se milado
gar ye nahi mumkin to meri pyari phupi jaan
soorat ali asghar ki mujhe la ke dikha do
jisne bhi dil mein basaya hai tera gham bibi
usko jawaad ke nauhe ne rulaya hoga
loriya deke jise…