kyun baade nabi tujhko sataya gaya zahra
jalta hua dar tujhpe giraya gaya zahra
ay laadli ahmed ki tere dil ko dukha kar
dil paak mohamed ka dukhaya gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
darbar mein jhutlayi gayi teri gawahi
yun ajre risalat hai chuka gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
ummat ne kiya tukde teri paak sanad ko
qabza tere haq par yun jameina gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
kehte thay nabi paak tujhe aankhon ki thandak
tujhko sare darbar rulaaya gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
baithe rahe darbari sabhi aap khadi thi
tazeem ka yun farz nibhaya gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
khoon uska bahaya gaya maadar ke shikam mein
mohsin pe tere zulm ye dhaaya gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
ghurbat ko teri dekh ke roti thi qaza bhi
jab tere janaze ko uthaya gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...
kyun noye na jawad bhi khirtaas o qalam bhi
ghar ghar hai tera sogh manaya gaya zahra
kyun baade nabi tujhko...