matam hai ye meri baqa karte rahenge hum sada
zainab tere hussain ka gham karte rahenge
hum seena zani shaam o sahar karte rahenge
ay saani e zahra teri sunnat hai ye matam
apne to aqeede may ibadat hai ye matam
har haal may ye farz adaa karte rahenge
zainab tere hussain ka...
jis ne teri chadar pe fida kar diye baazu
kehti hai jise bibi alamdar e wafa tu
ghar ghar tere ghazi ke alam sajte rahenge
zainab tere hussain ka...
dohrayenge pyase tere asghar ki kahani
ta hashr jise royega darya'on ka pani
har ghoont pe hum yaad usay karte rahenge
zainab tere hussain ka...
jo aag liye khaana e zahra pe thay aaye
qayyaam jinho ne tere karbal may jalaye
wo naare jahannum may sada jalte rahenge
zainab tere hussain ka...
bibi tere beton ke biradar ke lahoo se
roshan jo huwe aale payambar ke lahoo se
wo deep hawaon may sada jalte rahenge
zainab tere hussain ka...
bhoolegi na dunya ye teri dard kahani
jawwad ke lafzein kabhi saadiq ki zubani
pursa tere pyaron ka tujhe dete rahenge
zainab tere hussain ka...