Kanz e Aza

Zainab Ye Dua

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Aashiq Irani. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ye dua maangi haathon ko utha kar

ya rab mere abbas ko tu sabr ata kar


badle huwe tewar hai maathe pe pasina hai

haathon mein alam bhi hai aur mashke sakina hai

lagta hai ke ab ghazi kar dega bapa mehshar

zainab ye dua maangi...


shabbir pareshan hai waada bhi nibhana hai

ghar baar luta kar bhi islam bachana hai

chamke na kahin tayghe wafa josh mein aakar

zainab ye dua maangi...


karti hai bayan khwahare shabbir ye rokar

narghe mein liya humko jafakaron ne aakar

aaye na kahin ghaiz mein abbas e dilawar

zainab ye dua maangi...


maujon mein talatum hai ye khauf hai pani ko

dohraye na phir dunya khyber ki kahani ko

hum par ye karam kijiye ay khaaliq e akbar

zainab ye dua maangi...


mabood teri raah mein akbar ko bhi denge

nanhe se mujahid ali asghar ko bhi denge

kardenge fida hazrate qasim ko saja kar

zainab ye dua maangi...


mai aun o mohamed ko bhi qurban karoongi

bhai pe fida apne dil o jaan karoongi

le jaungi mai khake bala sar pe utha kar

zainab ye dua maangi...


tareekh mein tujh jaisa nahi aur koi bibi

aashiq nahi likh paate kahani ye teri bibi

betab murtuza ne kaha ashk baha kar

zainab ye dua maangi...