roti hai zameen e karbobala
sehraab hai saari khalqe khuda
zehra ka dulaara pyaasa hai
hai daagh uthaya akber ka
asgher ka lahu hai mu pe mala
dil hogaya chhalni sarwar ka
pamaal huwa qasim dulha
mehraab o mimber rote hain
zehra o hyder rote hain
daswi ko payambar rote hai'n
ham kyu'n na bahaye'n ashk bhala
zehra ki kamayi lut-ti hai
ahmed ki nishani mit-ti hai
sarwar ki ragejaa'n kat-ti hai
khanjar ke tale hai khushk gala
zakhmi huwe gham se qalb o jigar
bhai ka hai ye dil pe asar
sheh rote hai'n apni thaame kamar
dil par hai qayamat ka sadma
jab shimr ne khanjar pheyr diya
sajde me namazi qatl huwa
pyaasahi raha ibne zehra
afsos kisi ne ye na kaha
zehra o ali ke jaani ko
bejurm nabi ke sani ko
tarsate the zalim paani ko
jalti thi zameen e karbobala
karbal me qayamat aayi hai
khaime me tadapti jaayi hai
marne ke kharee'n jo bhai hai
aflaak ke lab par hai nouha