Kanz e Aza

Zehra Karegi Hashr

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

zehra karegi hashr mein daawa hussain ka

parwardigar de mujhe badla hussain ka


pyase gale pe teer e jafa ran mein chal gaya

moo se lahoo ugalta hai baccha hussain ka

zehra karegi hashr mein...


seena phata jo ran mein nabi ka nashan tha

barchi se chid gaya hai kaleja hussain ka

zehra karegi hashr mein...


maqtal mein aayi fatema ya rab duhaai hai

baalon se jhaadti hai musalla hussain ka

zehra karegi hashr mein...


arshe bareen bhi hil gaya zehra ke bain se

maa ek chaahti hai ye badla hussain ka

zehra karegi hashr mein...


hairat zada khamosh falak dekhta raha

kul ambiya ne dekha hai sajda hussain ka

zehra karegi hashr mein...


matam ke daagh aur phir ashke ghame hussain

saabir ko kaafi hai ye waseela hussain ka

zehra karegi hashr mein...