khat-e-hussain ye lekar payaam aaya hai
khusha nabeeb shahadat me naam aaya hai
tumhare waaste haq se inaam aaya hai
zara bhi der na karna habeeb aajao
likha hussain ne nama habeeb aajao
habeeb ibne mazahir salaam ho tum par
khuda-e-paak ki ne'mat tamaam ho tum par
maqaam khuld ho, dozakh haraam ho tum per
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb ham pe museebat ka waqt aaya hai
hame yazeed ne khat bhej kar bulaaya hai
hamare sar pe faqat ranj o gham ka saaya hai
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb saniye zehra salaam kehti hai
dil aur jaan se tumko duaye'n deti hai
tumhare aane ki har aan raah takti hai
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb ham se zamane ne mu ko phera hai
jaha'n ke ranj-o-masayeb ne hamko ghera hai
lab-e-furaat pe fouj-e-adu ka pehra hai
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb hamse hai talib yazeed bayyat ka
wo chaahta hai mitana kalaam wehdat ka
jawaab dena hai hamko ab uski taqat ka
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb aaj qayamat bapa hai duniya me
sawaal-e-baiyat-e-faasiq utha hai duniya me
andhera kufr ka phaila hua hai duniya me
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb deen khuda ka hame bachana hai
kiya jo nana se wada wohi nibhana hai
sawaal-e-baiyat-e-fasiq hame mitana hai
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb ahle haram bhi hai saath aaye huwe
sabhi hain khaliq-e-akber se lau lagaye huwe
zameen-e-garm pe baithe hain sar jhukaye huwe
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb ham pe mazalim wo dhanyenge aada
jawaan bete ko barchhi lagayenge aada
lahu sagheer ka mere bahayenge aada
zarabhi der na karna habeeb aajao
habeeb ahle haram ko satanyenge zalim
hamare baad ye khaime jalayenge zalim
barehna sar inhe'n dar dar phiraynge zalim
zara bhi der na karna habeeb aajao
habeeb haal kya apna baya'n kare tum se
hamari amma ki turbat bhi chhut gayi ham se
kaleja hota hai tukde hamare is gham se
zara bhi der na karna habeeb aajao