zard hai chehra naheef o zaar hoo
matam e sajjad may beemar hoo
kehti thi zainab duhaai ya ali
sar barehna mai sare bazaar hoo
zard hai chehra...
kehte thay abid uthe kyunkar qadam
ay sitamgaron naheef o zaar hoo
zard hai chehra...
dum ba dum khayncho na mere haath ko
paon bad sakte nahi nachaar hoo
zard hai chehra...
mai piyada tum ho ghodon par sawar
kis tarha daudun bohut beemar hoo
zard hai chehra...