jo suye karbobala ban'ne chala
zawware hussain
pehle sun hazrate jaabir ka maqam
unka hai khul e moalla may qayam
naymatein hogayi sab unpe tamam
unko bheja hai imamo ne salaam
sab se phele hai khitaab unko mila
zawware hussain...
barsi rehmat ki ghata deep jale
muskura uthi wafa mil ke galay
khuld bichne lagi qadmon ke talay
ambiya auliya sab saath chale
jo suye karbobala ban'ne chala
zawware hussain...
sar dar e shaah pe kham karta hai
apni aankhon ko bhi nam karta hai
matame shaah e umam karta hai
uspe allah karam karta hai
khoob likha hai ibadat ka maza
zawware hussain...
uspe hoti hai ataein naazil
wo nahi rehta aza se ghaafil
uski azmat ke farishte qaail
naam hai ahle aza may shaamil
ye jahan waale kuja aur kuja
zawware hussain...
door ho jaati hai har ek ghutan
khil chuka hota hai kismat ka chaman
keh chuke hai ye shehenshaahe sukhan
laut kar aata hai jab apne watan
saath laata hai shifa khaake shifa
zawware hussain...
wo zamane may ho aabaad kahin
ban ke rehta ibadat ka ameen
apne sajdon se sajata hai zameen
jag magati hai sada uski jabeen
usko deti hai laqab karbobala
zawware hussain...
tu har ek jaaye shahadat pe gaya
yaad kar kar ke unhe rota raha
tere honton pe nazar aayi sada
ya hussain haye hussaina ki sada
tujhko mazloom behan degi dua
zawware hussain...
rauza e sibte payamanar pe gaya
tune abbas ka dar choom liya
tune sajde kiye matam bhi kiya
gohar e haq ki hidayat pe chala
tujhse raazi hai mohamed ka khuda
zawware hussain...