shaam se jab ahlebait barsare uryan chale
yani suye karbobala chaak gareban chale
leke shaheedon ke sar besar o saaman chale
karte huwe ye bayan ba dile naalan chale
aaj chai chaliswan hazrate shabbir ka
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
raah mein unse koi poochta gar aan kar
kiske ho namoos tum kisko ho laqte jigar
kisne loota hai tumhe kisne kiya bepadar
kehte thay ahle haram ro ro ke ba chashme tar
tujhse bayan kya kare hum apne ehwaal ko
dafn karne hai chale fatema ke laal ko
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
wo haram e mohtaram shaah ke ba sad buka
manzilein tay karte haye pahunche thay jo karbala
door se jab qatlgaah inko dikhayi diya
ro ro ke kehne lage hazrate zainul liba
oonton se utro tum ab karte huwe shor o shain
ro ke chalo pyada paa yan se ba laashe hussain
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
hazrate sajjad se sun ke haram ye kalaam
peet'te rote huwe onton se utre tamaam
sar ko lage peetne waarison ke leke naam
aaye jo laashon ke paas haye wo nashaad kaam
chadarein sar se utaar aansu bahane lage
haathon se us ban ki khaak sar pe udhaane lage
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
hazrate zainul liba nauha ye jab pad chuke
bibiyon se is tarha ro ro ke kehne lage
pehle kaho kiski laash qabr mein abid rakhe
bewa e abbas yun boli mai sadqe tere
pehle mere waali ki laash ko uthwaiyo
deke kafan qabr mein phir usay dafnaiyo
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
al gharaz abbas ko jis ghadi madfoon kiya
matam e abbas tab jinn o malak mein hua
bewa e abbas tab royi wahan khoob sa
ro ro ke abid ne tab apni chachi se kaha
jinn o malak mein hui bas yehi guftaar hai
khaak mein madfoon hua sheh ka alamdar hai
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
wo jo tha ibne hassan qasim e aali nasab
byaah ke din haye haye qatl hua tashnalab
shadi ka joda jo tha mil gaya matti se sab
uska hi chehlum hai aaj waye sitam hai ghazab
hazrate sajjad ne sar ko badan se mila
de ke kafan qabr mein laasha e qasim rakha
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
kehti thi akbar ki maa ay mere kadiyal jawan
choot ke zindan se karne ko chaliswan
khasta jigar aayi hai sehti hui sakhtiyan
dekh to noore nazar kis tarha roti hai maa
fateha dilwaungi ashkon ki barsaat mein
zakhm hare ho gaye seena e sadaat mein
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
bachon se bichde huwe zainab e lachaar ko
beet gaye kitne din muztar o ghamkhwar ko
ab jo rehaai mili haye dilafgaar ko
aun o mohamed ke phir seena o ruqsaar ko
pyar kiya aur ye kaha ay mere sheron suno
karna hai chaliswan bibiyon matam karo
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan
boli rubab e hazeen laasha e baysheer par
kyun na gire bijliyan maadar e dilgeer par
khoon hai abhi tak laga zulm ke us teer par
aaj wo din aagaya uff meri taqdeer par
karti hoo chaliswan nanhe se quran ka
sadqa mai dila saki haye teri jaan ka
syed e mazloom ka zehra ke masoom ka
aaj hai chaliswan