Kanz e Aza

agaye haram hoga arbaee'n

A noha for Arbayeen, recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

aagaye haram hoga arbaeen


gham ke paasban dard ke ameen aaye qaid se abide hazeen

farshe khaak par hai falak nasheen


aagaye haram hoga....


tauq bediyan aur reesma sar pe gir pada jaise aasman

ghamzada falak roti hai zameen


aagaye haram hoga....


dekhiye mera zakhmi hai gala nange paon mai kaaton par chala

aisi bebasi hogi kya kahin


aagaye haram hoga....


zindagi se ye maut hai bhali ay mere chacha sheh ki zindagi

shaam may hai ab teri naazneen


aagaye haram hoga....


dukhte hai mere sab ye us suqan kis-se mai karoon haale dil bayan

keh rahe hai ye abide hazeen


aagaye haram hoga....


akbare jawan mere bhai jaan saath tum nahi khaak hai jahan

yaad karti hai zainabe hazeen


aagaye haram hoga....


sar kata diya ghar luta diya deen ko magar tu bacha liya

fatema ke laal waarise akheer


aagaye haram hoga....


dafn jo hui dekho parde may nange sar kabhi thi jo balwe may

uski betiyan dar badar phiri


aagaye haram hoga....


karbala may ab dekho ek baar gham may doob kar hogaya ye haal

sayyeda ke saath fakhre mursali


aagaye haram hoga....