Ab aakhri mujra Main baja laati hu'n Bhai
Ujde huwe kunbe ko liye jaati hu'nBhai
Maalum nahi laut ke kab aati hu'nBhai
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu'nBhai
Allah nigehbaan watan jaati hu'nBhai
Haidar ka Pisar Fatima ki jaan yahin hai
Wo jis pa wafa hogayi qurbaan yahin hai
Bhayya Mere parde ka nigehbaan yahin hai
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu'nBhai
Allah nigehbaan watan jaati hu'nBhai
Lakhte Dil e Shabbir ko kaleje se lagana
Be chain jo Asghar ho to seene pa sulaana
Bhayya Mere bachchon ko kahin bhool na jaana
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu'nBhai
Allah nigehbaan watan jaati hu'nBhai
Ab kaaheko phir laut ke yaad aaegi Zainab
Ab tum ko Madine me kahan paaegi Zainab
Marjayegi marjayegi marjayegi Zainab
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu'nBhai
Allah nigehbaan watan jaati hu'nBhai
Batlaao ke kab tak yuni khamosh rahoge
Kya khwahar e Nashaad ko rukhsat na karoge
Sughra ke liye kya koi paiGham na doge
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu'nBhai
Allah nigehbaan watan jaati hu'nBhai
Khamosh Saeed ab ke nahi zabt ka yaara
Sab ahle haram rote the ek hashr bapa tha
Tha turbat e Shabbir pa Zainab ka ye Nouha
Dil doob raha hai Mera ghabraati hu'nBhai
Allah nigehbaan watan jaati hu'n Bhai