maula bulalo karbobala arbaeen mein
karte hai sogwaar dua arbaeen mein
maula bulalo karbobala arbaeen mein
toote huwe dilon ki hai ye aas dekhle
ek baar hum bhi rauza e abbas dekhle
kar do sharaf ye humko ataa arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
aasaan kijiye sabhi dushwaar raaste
kab se tadap rahe hai ziyarat ke waaste
dikhla do khuld ek dafa arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
jaakar haram mein shukr ke sajde ada kare
maula har ek shaheed ki majlis bapa kare
hum bhi bichaye farshe aza arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
maula tumhe janab e sakina ka waasta
hum ko bhi dekhna hai wo jannat ka raasta
jaaye najaf se karbobala arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
maa baap se kiya hai ye waada dikhaunga
mai aap ko hussain ki dunya dikhaunga
karna hai mujhko waada wafa arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
har waqt bas ye fikr hai mere khayal mein
lagta hai mar na jaaun kahin is malaal mein
mai ek dafa bhi jaa na saka arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
is baar kar do mere safar ka kuch intezam
har saal soch soch ke reh jaata hai ghulam
jaati hai saari khalq e khuda arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
is ghamzada ke qalb ki khwahish hai aakhri
jis waqt bhi ho aap ke rauze pe haazri
ho jaye meri rooh fanaa arbaeen mein
maula bulalo karbobala...
hai aamir o kumail ki maula se ilteja
hum bekason ka khalq mein tum hi ho aasra
kar lo qubool sab ki dua arbaeen mein
maula bulalo karbobala...