charagh e hussain
phaili hui hai khushbuein baaghe hussain ki
har simt roshni hai charagh e hussain ki
ye woh charag jise sheh ne aagahi di hai
isi charagh ne dunya ko roshni di hai
isi charagh ne gul hoke shaam e ashoora
hussaniyat ke iradon ko zindagi di hai
charagh e hussain...
isi ke noor se dunya ye jagmagayi hai
hayaat shams o qamar ne isi se paayi hai
dayaar e zulm se hurr is taraf jo aaya hai
isi charag ke lou hurr ko khaynch laayi hai
charagh e hussain...
hussaniyat ka jigar mein charagh jalta hai
shaour o fikr o nazar mein charahg jalta hai
kabhi namaz ki surat kabhi azan ban ke
khuda e paak ke ghar mein charagh jalta hai
charagh e hussain...
ye baat haq hai ke noor e tahoor is mein hai
tajalliyaat raheem o ghafoor is mein hai
har ek shaks isy dekh hi nahi sakta
jo koh e toor pe chamka woh noor is mein hai
charagh e hussain...
shumaar iska hai mabood ke nageeno mein
isi ki aag hai maulaiyon ke seeno mein
isi charagh se hai raunaq e azadari
yehi charahg to roshan hai sheh nasheeno mein
charagh e hussain...
har ek sadi ki sada hussain zindabad
bayaz e dil pe likha hussain zindabad
payambaro ne kaha hussain zindabad
kabhi to surat e baysheer mein hai muskaya
bana ye seena e akbar sina ka phal khaaya
hussain ban ke yehi noor baad e ashoora
quran padhte huwe bar sar e sina aaya
charagh e hussain...
khusha naseeb jo hum ko mili hai karbobala
hussaniyo ke liye zindagi hai karbobala
jise ye saara zamana salaam karta hai
usi charagh se roshan hui hai karbobala
charagh e hussain...
sune ye saara zamana wafa hussain se hai
hamari khuld ka har raasta hussain se hai
dar e hussain pe jo shaqs jaa nahi sakta
hisaar e noor mein is ke woh aa nahi sakta
hussain ibne ali ne isay jalaya hai
isay koi bhi yazeedi bujha nahi sakta
charagh e hussain...
noor uska chupa nahi har ek ko dikha nahi
dushman ko mila nahi zaalim se bujha nahi
charagh e hussain...
yazeediyat ke andheron ko maarne waala
yehi hai dasht mein hal min pukaarne waala
shahadaton ko ziya baar kar diya is ne
yehi hai joun ki surat nikhaarne waala
charagh e hussain...
dua hai phoolta phalta rahe charagh e hussain
hawa e zulm kuchalta rahe charagh e hussain
faqat yehi hai dua e kumail o aamir ki
aza ki shakl mein jalta rahe charagh e hussain
charagh e hussain...
mera imam hussain mera kalaam hussain
hai subho shaam hussain tumhara naam hussain