chali hussain ko kho kar hussain ki behne
saron pe khaak saja kar hussain ki behne
?lipat ke bhai ki turbat se gham manaati hai
dayaar e shaam ka sab maajra sunaati hai
tadap tadap ke lehad par hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
?jigar fighaar hai sehmi hai gham ki maari hai
musibaton ki sataayi sitam ki maari hai
ghamon se ho gayi laaghar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
?amariyon pe bhi ho kar sawaar dekhti hai
lehad ko bhai ki sab baar baar dekhti hai
qadam qadam pe palat kar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
?abhi to choot ke aayi hai qaid khane se
hussain bhai ko dekha nahi zamane se
tadap ke roye na kyun kar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
?bana ke zaad e safar noor e ain ka chehra
tasavuraat may bhaiya hussain ka chehra
safar may jaati hai le kar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
kabhi to sar kabhi rukhsaar peet leti hai
har ek azeez ko ro ro ke yaad karti hai
lehad pe khud ko gira kar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
bani asad ke khabeele may aah o zaari hai
har ek zaban pe be-saakhta ye jaari hai
madine jaati hai lut kar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
sitam jo dhaaye hai ummat ne us musibat ki
karengi jaa ke shikayat zaroor ummat ki
pahunch ke qabre nabi par hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...
kumail haye wo kitna tadap rahi hongi
lehad ko chod ke aamir wo jab chali hongi
uda ke khaak ki chadar hussain ki behne
chali hussain ko kho kar...