Kanz e Aza

Marne se Pehle

A noha written by Kumail Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

sirf ek baar dekhlun karbala marne se pehle


karta hai har sheh ka azadar ye dua marne se pehle

sirf ek baar dekhlun karbala marne se pehle


ek hi khwahish hai bas ab dil e ghamkhwar mein

naam ho mera rakham aap ke zawwar mein

hai dil e muflis ki aakhri ilteja marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


hum ne suna hai rauza e hazrat hussain ko

ek baar dekhna kayi hajj ka sawab hai


apne azadaar ko moula bula lijiye

farshe zameen ki hamein khuld dikha dijiye

dekhle hum log bhi rauza aap ka marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


hai ye meri aarzoo mai bhi ziarat karun

rauza e abbas pe jaa ke ibadat karun

parchame ghazi ka choomlu pharera marne pehle

sirf ek baar dekhlun...


chalte hai tere gham mein jahan saare ambiya

us raaste pe chalna hamein bhi naseeb ho


dekhlun ek baar mai rauza e shaahe najaf

phir mai wahan se chalun karbobala ki taraf

mai bhi karun tay mashi ka raasta marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


aap ke darbar mein aap ka matam karun

aap pe girya karun aap ka nauha padhun

karbobala jaa ke mai padhun marsiya marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


jaaun wahan thay jahan ahle haram ke qayaam

dekhe nigahein meri akbar e sheh ka maqaam

ho meri aankhon ke saamne alqama marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


padh ke durood o salam panjetan e paak pe

shukr ka sajda baja laaun mai jab khaak pe

khaake shifa se hi mujhe bhi ho shifa marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


maula bas ek baar mai us dar choomlu

jis dar se aaj tak koi khaali nahi gaya


hazrat e babul hawaij ka haram dekhlun

us pe laga deen ka surkh alam dekhlun

do kate haathon ka dekhlun moujiza marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...


karte hai aamir kumail aap se bas ye dua

hum pe musalsal rahe aap ki yun hi ata

ruk na sake aap ke gham ka silsila marne se pehle

sirf ek baar dekhlun...