salaam ya abul fazl salaam ya abul qirba
salaam alamdar e lashkar e khuda
abul fazl abul fazl abul fazl alamdar
alamdar e hussain wafadar e hussain
mashallah mashallah mashallah ghazi
hyder ne duaon mein maanga hai tujhe ghazi
zehra ne dil o jaan se chaaha hai tujhe ghazi
shabbar bhi aqi apna kehta hai tujhe ghazi
shabbir ne godhi mein paala hai tujhe ghazi
is ghar ka wafadar hai ghazi alamdar
mashallah ghazi alamdar e hussain...
tu hyder e safdar ki quwwat hai mere maula
tu zainab e muztar ki taaqat hai mere maula
kulsoom ke jazbon ki zeenat hai mere maula
tu aale mohamed ki himmat hai mere maula
tu ghar mein ali ke allah ka shakaar
mashallah ghazi alamdar e hussain...
aankhon ko teri rab ne sooron se sajaya hai
quran ki aayat palkon pe lagaya hai
paikar ko tere rab ne kya khoob banaya hai
sarwar ne tujhe misle quran uthaya hai
posheeda hai tujh mein quran ke asraar
mashallah ghazi alamdar e hussain...
abbas alam tera ehsaas ka qibla
abbas alam tera eesaar ka kaaba hai
abbas alam tera islam ka chehra hai
abbas alam tera tauheed ka saaya hai
parcham ka qaseeda ye padta hai karraar
mashallah ghazi alamdar e hussain...
haathon mein tumhare tha ek toota hua naiza
aur dushman e sarwar ko jab tumne faqad ghoora
to dushman e deen samjha ghazi ne kiya hamla
aur khauf ke maare wo sar apna patak'ta tha
hyder ki tarha hai maula tera har waar
mashallah ghazi alamdar e hussain...
darya ke kinare jo zarghaam e ali pahuncha
haibat se usi ke phir khud khauf ko khauf aaya
baghdar machi faujon mein zaalim ka jigar kaampa
jaan apni bachane ko har dushman e deen bhaaga
dushman ke liye hai maula mera khahhaar
mashallah ghazi alamdar e hussain...
jab mashk e sakina par ek teer laga aakar
to kohe alam toota islam ke ghazi par
tehreer ho phir kaise wo dard bhara manzar
nasir ne kaha arif ye nauha padho ro kar
sar peetenge apna ghazi ke azadaar
mashallah ghazi alamdar e hussain...