Kanz e Aza

Matam karo shabbir ka

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

abbas ke zere alam matam karo shabbir ka

matam to apni jaan hai matam to apni shaan hai

matam se hi pehchaan hai

matam hai zehra ki dua matam karo shabbir ka


rota hai dekho aasma'n matam karo ahle jaha'n

gham naak hai ye daastaa'n

zehra ka gulshan lut gaya matam karo shabbir ka

matam kabhi rukta nahi jab tak hai baaqi ye zamee'n


hai ye ibaadat bil yaqee'n

abbas ki hai ye ata matam karo shabbir ka

matam na hota ye agar hote na jaane ham kidher

ashoor ko thaame jigar


matam me hai'n ab fatima matam karo shabbir ka

lazim hai matam me jiye lazim hai matam me mare

matam ko ham paida huwe

matam hai jeene ki ada matam karo shabbir ka