Kanz e Aza

Matame Husain Zindabad

A noha written by Shams Tabrez. Lyrics in Roman Urdu.

humse poochte ho karte ho matam kyun


cheh mahine ka asghar bhi maara gaya

saal athara akbar bhi maara gaya

haye hurre dilawar bhi maara gaya

aur ghazi biradar bhi maara gaya

kitne haathon se laashe uthaye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad


aap ne aab khatra bhi paaya nahi

sar ko sajde se hargiz hataya nahi

shikwa allah ka lab pe laaya nahi

peeche qadmon ko apne hataya nahi

shaan hyder ki kaise dikhaye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad


waada nana ka poora wafa hogaya

ghar ka ghar raahe haq mein fida hogaya

sar bhi mazloom tan se juda hogaya

dhoom matam ki haye ye kya hogaya

teri mayyat pe ghode chalaye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad


aap ke saare qaime jalaye gaye

haye saydaniya sab sataye gaye

dar badar raaston pe phiraye gaye

sab ke sab haye zindan basaye gaye

khandan apna poora lutaye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad


dehr mein aaj tak bhi hai matam hussain

mit nahi sakta ye aap ka gham hussain

rote rote hi mar jayenge hum hussain

hum uthate hai ab tak bhi parcham hussain

aap islam ko hai bachaye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad


dard angayz sheh ki shahadat hui

zere khanjar tumhe kya aziyat hui

qatl hokar rahe kya musibat hui

jaan allah ki khaatir amaanat hui

sar ko naize pe tere chadaye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad


khaak tabrez tu apne sar par udha

karbala mein mohamed ka ghar hai tabaah

lut gaya haye irfan aale aba

reh gaya naam karbal mein allah ka

khatra e aab peene na paye hussain

hum ko matam hi karna sikhaye hussain

matame hussain zindabad

parchame hussain zindabad