sare kufa yateemon ki duayein goonjti hai
badal kar siskiyan ab bhi aahein goonjti hai
shikasta haal mein yun bhi azan goonjti hai
abhi tak masjidon mein ye sadayein goonjti hai
sahara kaun dega shab e zarbat yateemon ko
ali ke baad zainab ko dilaasa kaun dega
diya tha sabr bachon ko akele baad e zahra
mere maula inhe pursa tumhara kaun dega
sahara kaun dega...
masayib ka samandar hoga ashoora ka manzar
shabe ghurbat ki kashti ko kinara kaun dega
sahara kaun dega...
rida chin jaye jab zainab kise awaaz degi
jale qaimon ki zulmat ko ujaala kaun dega
sahara kaun dega...
jo zainab aaj hai kufe mein shehzadi e kufa
usay maqtal mein kufe ka zamana kaun dega
sahara kaun dega...
bulayegi tumhe shaam e ghariban binte sarwar
sakina ko bhala shafqat ka saaya kaun dega
sahara kaun dega...
ali ke baad ab ay shams in murghabiyon ko
talab se pehle aake aab o daana kaun dega
sahara kaun dega...