haye hussain haye asghar
ek sookha sa sarwar ka gala
ek sookha sa asghar ka gala
ek maa ki thi maqtal mein sada
ek sookha sa asghar ka gala
har samt sitam ki baarish mein
roti hui ek maa tanha thi
khanjar ke talay bhi zehra thi
aur teer ki zad pe bhi zehra thi
haye zehra ne bhi dekh liya
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...
cheh maah se bache ke upar
ye arz o samaa bhi rota raha
ek kund sa khanjar sarwar ke
sookhe se galay par chalta raha
pamaal hua be-jurm o khata
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...
maqtal ki zameen ko saaf kiya
ek maa ne pareshan baalon se
ek maa ne sawara asghar ki
zulfon ko bade armaano se
dil dekh ke dono ka toota
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...
ek uska gala tha jisko kabhi
lete thay mohamed khud bosa
aur ek galay ko ro ro kar
khud shaah e zaman ne chooma tha
dono sare maqtal kaata gaya
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...
shabbir ke be-sar laashe par
haye bali sakina ki aahein
is tarha dilaasa deti thi
kehti thi sakina se maayein
hum ne bhi dekh ke sabr kiya
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...
ek tashna dahan ek tashna suqan
dono hi to thay be-gor o kafan
ek jalti zameen ke andar tha
aur ek ka tha teeron pe badan
kehti thi ye zahra wavaila
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...
ay shams ajab ghurbat ka samaa
tha ehle aza ke chehron par
jab maine kaha shabbir ka aur
asghar ka gala tha naizon par
rehan labon par tha nauha
ek sookha sa asghar ka gala
ek sookha sa sarwar...