Kanz e Aza

Gham ye barpa hai aaj asghar

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Gham ye barpa hai aaj asghar ka

qaali jhoola hai aaj asghar ka

Teer zaalim se aah maidaa'n me

halq chid'ta hai aaj asghar ka


Cheh mahine ke baad bano se

saat chut'ta hai aaj asghar ka

Koi jaake kahe ye maadar se

qoon behta hai aaj asghar ka


Haaye zahra ka laal leke lahu

Muh pe malta hai aaj asghar ka

Fouje dushman bhi khoon roti hai

haal aisa hai aaj asghar ka