Kanz e Aza

Ghame Fatema

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

haye mazlooma fatema zehra

haye mehrooma fatema zehra


fatema ka bhare madine may

gham batane koi nahi aaya

ghar jalane ko kalmago aaye

ghar bujhane koi nahi aaya


kya wo islam ka hi markaz tha

kya madina tha wo mohamed ka

lag rahe thay jahan pe zahra ke

taaziyane koi nahi aaya

fatema ka bhare...


rassiyan thi ali ki gardan may

aur bazaar se guzarte thay

sab tamashayi ban ke takte rahe

aur chudane koi nahi aaya

fatema ka bhare...


dar jala qatl hogaye mohsin

phasliyan sayyeda ki toot gayi

phir bhi kehte ho tum ke zehra par

zulm dhaane koi nahi aaya

fatema ka bhare...


khud hi chunne lagi nabi zaadi

bikhri tehreer apne baba ki

mustafa ki sanad ke tukdon ko

jab uthaane koi nahi aaya

fatema ka bhare...


har sitam fatema pe dhaaya gaya

jalta darwaza bhi giraya gaya

apne mehdi ko di sada usne

jab bachane koi nahi aaya

fatema ka bhare...


aath shawwal ko hui akbar

phir shahadat nabi ki beti ki

gir raha tha mazaar bibi ka

aur bachane koi nahi aaya

fatema ka bhare...