ghar se nikal raha hai janaza batool ka
girya kuna hai saara gharana batool ka
baad e rasool itne masayib huwe nuzool
athara saal hi mein zaeefa hui batool
matam sara bana hai madina batool ka
ghar se nikal raha hai...
darwaza e ali ko adoo ne jala diya
pehlu pe haye jalta hua dar gira diya
dushwaar kar ke rakh diya jeena batool ka
ghar se nikal raha hai...
dewaar o dar ke darmiyan shehzadi aa gayi
ek keeli phasliyon mein jo paywast hogayi
haye shaheed ho gaya beta batool ka
ghar se nikal raha hai...
le aaye ghusl khaane mein mayyat ko aeliya
daurane ghusl cheekh pade sher e kibriya
aaya nazar jo pehlu shikasta batool ka
ghar se nikal raha hai...
wallah de koi to dilaasa hussain ko
mayyat pe maa ki rone na dena hussain ko
rone se iske phat'ta hai seena batool ka
ghar se nikal raha hai...
hasnain muztarib hai to bechain hai ali
ghash mein padi hai zainab o kulsoom ya nabi
ranj o alam mein gharkh hai kunba batool ka
ghar se nikal raha hai...
har simt hai madine mein shor e buka mujeeb
rote hai sar ko peet ke ahle aza mujeeb
rehan ke labon pe hai nauha batool ka
ghar se nikal raha hai...