ghul ye harsu bapa hai waawaila
margayi aaj baap ki aashiq
shore mehshar bapa hai waawaila
haaye baitul hazan hua veeraa'n
shere haq ki sada hai waawaila
jaati ho chord kar kahan amma
betio ki buka hai waawaila
waqte ruqsat gale se bacho ko
maa ne lipta lia hai waawaila
ghash hai hasnain ro rahe hai ali
sab ko sadma bada hai waawaila
haaye qairun nisa ka hyder ka
saath ab choot'ta hai waawaila