Kanz e Aza

GHURBAT ME FATIMA KA AABAAD GHAR LUTA HAI

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Zaidi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Ye Karbala me Akhtar kya saaneha huwa hai

Laashe pade hain Kiske khoo'n Kiska ye baha hai

Thehre nazar jaha'n bhi manzar lahu bhara hai

Maida'n ka zarra zarra aawaz deraha hai


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Dashte bala mei sab ne shaadi ka sog dekha

Kubra banithi dulhan Qasim bana tha dulha

Paamal ran e Dulha taza Dulhan hai bewa

Kaandhe pa Shahe Dee'n ke Noushah ka hai Laasha


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Khaime ke dar pa bachche kooze liye khade hain

Abbas sar se paa'n tak khoo'n me naha gaye hain

Mashkiza chhid gaya hai Shaane kate huwe hain

Thame huwe kamar ko Shabbir Rorahe hain


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Yu'n Akbare Jawa'n ki maqtal se Laash aayi

Seene pa zakhm taaza zulfo'n me khaak ran ki

Allah Jaanta hai Zainab pa jo bhi guzri

Ye Sonchti hai Laila Kis tarha ab jiyegi


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Shabbir Laashe Asghar khaime me aise laay

Pyaase Gaye the rann ko khoo'n me Nahake Aay

Honto pa Muskurahat Gardann pa teer khaay

Doure khiza me jaise ek phool muskuraay


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Koofe me daakhila bhi uftaad ek nayi thi

Bedard rasto'n par Aulad Mustafa ki

Sahmi Huwi Sakina Ankhon me ek udaasi

Zainab ki beridayi Sajjad ki aseeri


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Darbar shaam ka tha aur Qafela khada tha

Sardare Dojaha'n ka Sar tasht me rakha tha

Honto'n pa Shahe Dee'n ke wo zulm ho raha tha

Zainab ke Tanbadan me larza pada huwa tha


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Bigdi huwi wo Duniya badla huwa zamana

Kamsin Yateem Bachchi zalim ka taaziyana

Roshan Zameer Qaidi taarik qaid khana

Maa peet'ti rahi sar aur chal basi Sakina


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Jab Arbaeen karne Kunba Nabi ka pohncha

Maidane Karbala me ek hashr ka sama tha

Qabre Hussain kaampi Maatam ka shor utha

Zainab Suna Rahi thi rudaade shaam 0 Kufa


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Beete huwe dino ke sab zakhm ab haray the

Zainab ye Sonchti thi Haathon se Dil ko Thaame

Abbbas ki Lahad par Jaaungi ab Main kaise

Zindaa'n me hai Sakina aankhon me hai'n andhere


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai


Marqad pa Shahe Dee'n ke Naale Rabab ke the

Jaakar watan ye Dukhiya rudad kya Sunaay

Waris nahi'n hai Sar par Bachche bhi Mujhse bichhde

Apni Lahad me Waali Mujhko bhi ab chhipaale


Ghurbat me Fatima ka aabaad Ghar luta hai