Kanz e Aza

Gulshane panjetan ko loot liya

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Gulshane panjetan ko loot liya

Ek ghareebul watan ko loot liya

Koofiyo'n ne bula ke dhoke se

Haaye shaahe zaman ko loot liya


Kalma padh padh ke haaye ummat ne

Mustafa ke chaman ko loot liya

Karke paamaal laashae qasim

Ek shab ki dulhan ko loot liya


Laashe akber utha ke sheh bole

Mere sheeree'n suqan ko loot liya

Khaali jhoola jhula rahi hai maa

Uske ghuncha dahan ko loot liya


Ek bhai ko zib'ha kar daala

Ek bekas behen ko loot liya

Dashte ghurbat me cheen li chaadar

Zainabe qastatan ko loot liya