Gurbat me uth raha hai janaza gareeb ka
arzo samaa'n me shor hai barpa gareeb ka
Kehte hain sar ko peet ke sab bekaso gareeb
sar se hammare uth gaya saaya gareeb ka
Angoor e zaher daar utarte hi halq se
haye haye hua hai qalb dopaara gareeb ka
koi na tha kare jo kifaalat imaam ki
laasha taqi ne aake uthaaya gareeb ka
samsasam ki ye arz hai ro ro ke momino
do duqhtare rasool ko pursa gareeb ka