guzar gayi jo qayamat kisi ko kya maloom
yateem hogaye hasnain o zainab o kulsoom
ali shaheed huwe ali shaheed huwe ali shaheed huwe
wo zakhm tha ke mussalla lahoo mein doob gaya
imame waqt ka chehra lahoo mein doob gaya
malak pukar ke kaaba lahoo mein doob gaya
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
sar e ali pa lagi zeher mein bujhi talwaar
zameen cheekh uthi aasman hua bezaar
khuda ke ghar mein luti fatema ke ghar ki bahaar
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
ajeeb haal hai dil ka padar ki furqat se
hussain dil ko sambhale huwe hai himmat se
hassan ko dekh rahe hai nigahe hasrat se
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
yateem o bekas o muflis ka zimmedar chala
chala jahan se ghareebon ka ghamguzar chala
sukoon jo baat raha tha wo beqaraar chala
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
ba waqte sajda kiya waar ibne muljim ne
utha na paaye imam apna sar sajde bhi se
faza mein goong uthe jibraeel ke naale
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
sukoon ke saath koi lamha bhi guzar na saka
dawayein laakh hui sar ka zakhm bhar na saka
ye aaftaab yun dooba ke phir ubhar na saka
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
wo aftaab ki surat se roz ubharta tha
wo dushmano ki bhi mushkil kushai karta tha
ushi ko zakhm diya hai jo zakhm bharta tha
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
unhe padar ki judaai ka hogaya ehsaas
zaban se kuch nahi kehte khamosh hai abbas
bade adab se khade hai magar hussain ke paas
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...
nabi ke baad kuch is tarha se phiri dunya
phir ek din bhi ali ki na ho saki dunya
suroor mere nazar se bhi gir gayi dunya
ali shaheed huwe...
guzar gayi jo qayamat...