ali un waliullah
kulle emaan ali deen ki shaan ali
hai meri jaan ali meri pehchaan ali
hai mera aqeeda ali un waliullah
tum laakh jalo tum ko jalayenge ye kehkar
ali un waliullah ali un waliullah
karo koi bhi ibadat ali to wajib hai
yehi hai hukme risalat ali to wajib hai
azan ho ya ikamat ali to wajib hai
mit sakta nahi naksh hai ye jumla seeno par
ali un waliullah...
yehi amal to rasool e khuda ki sunnat hai
ali ka zikr sabhi majlison ki zeenat hai
jo sach kahun to ali deen ki zaroorat hai
bas kehte rahe kehte rahenge hum mimbar par
ali un waliullah...
tamam ahle wila ko pasand aata hai
nabi ko ahle kisa ko pasand aata hai
ali ka zikr khuda ko pasand aata hai
phir kyun na yehi naara sajaye hum honton par
ali un waliullah...
suna raha hoo haqeeqat bahot badi sunlo
ali nabi ka bila fasl hai wasi sunlo
khuda ke naamon mein ek naam hai wali sunlo
ho jaata hai rab raazi mohibbon se ye sun kar
ali un waliullah...
kiya hussain ne qurban ghar wilayat par
kataya dashte bayaban mein sar wilayat par
haram ne jaari rakha hai safar wilayat par
sar saare shaheedon ke ye kehte thay sina par
ali un waliullah...
safdar o mazhar ki azan ali un waliullah
sun le ye saara jahan ali un waliullah
jahan khuda wahan wahan ali un waliullah
nabi ka hai yehi bayan ali un waliullah
ainullah ali ali
wajullah ali ali
yadullah ali ali
jumbullah ali ali
ashaduanna ali un waliullah