baadshah e karbala salaam
tu ne kar diya azeem kaam
hazrat imam hussain alaihis salaam
yun to qabron se bante hai qabrstan
tu ne magar qabron se karbala sajayi
ek saltanat banayi
us saltanat ka tu hai baadshah
baad e khuda baad e nabi
shaahion ke silsile ke teesre imam
tera naam tera kaam hamesha rahega
tu baadshah rahega
aashikon ke dil ki dhadkano se aa rahi hai sada
hussain hussain hussain shah jee
karbala waale hussain shah jee
maula hamare hussain shah jee
har dil ye pukare hussain shah jee
maula maula hussain shah jee
baadshah aisa zabardast hai tu shah saahib
shahiyan chod ke sab aate hai teri jaanib
tu hai mahraaj hussain takht aur taaj hussain
tere mohtaaj hussain
ban ke naukar jo tere dar pe chala aata hai
phir kahin bhi dar tera wo chod kar nahi jaata
karbala waale hussain shah jee
maula hamare hussain shah jee
har dil ye pukare hussain shah jee
maula maula hussain shah jee
tu ne teeron ke musalle pe ibadat ki hai
tu ne har daur mein dunya pe hukumat ki hai
ya abaabdillah do jahan mein wallah
hukm chalta hai tera
fatema ke pisar hai hamein ye khabar
tu ne jo bhi keh diya wo taalta nahi hai khuda
karbala waale hussain shah jee
maula hamare hussain shah jee
har dil ye pukare hussain shah jee
maula maula hussain shah jee
aao zawwaro mere saath chalo rauze par
sheh ki awaaz pe labbaik pukaro mil kar
bola shah ast hussain baadshah ast hussain
deen ast hussain deen panah ast hussain
le ke hathon mein alam taaba rehna dam ba dam
ja raha hoo mein najaf se karbala ye kehta hua
salaam hussain jaan salaam hussain jaan
hussain hussain jaan
ye shaah e mashraqain hai
ye shaah e maghrabain hai
nabi ki jaan ali ki dil
ye fatema ka chain hai
qasam hussain ki qasam nahi hai koi doosra
khuda ki kayenat mein hussain bas hussain hai
ya hussain ilal hussain ya hussain ilal hussain
saari dunya mein hussain
nasl e zehra mein hussain
chauda baara mein hussain
koi nahi tere siwa
karbala waale hussain shah jee
maula hamare hussain shah jee
har dil ye pukare hussain shah jee
maula maula maula maula
har hussain dil pe tera naam hai likha
jis ke dil par hussain likha hai
us ke sar par dua e zehra hai
baandh leta hai wo kafan sar par
aur marne ki aarzu le kar
teri khidmat mein aa ke kehta hai
deewana tera deewana
mera dil ya hussain tera deewana
shauzab habeeb o john zohair aur saeed ki
maqtal se aa rahi hai sada har shaheed ki
deewana tera deewana
mera dil ya hussain tera deewana
karbala karbala karbala karbala
zindabad arz e karbala
karbala aisi emarat hai ke sarwar ke siwa
ek din mein koi tayyar nahi kar sakta
hurr ke haathon ko ye kehte huwe khola sheh ne
ab tujhe koi giraftar nahi kar sakta
hurr ke chehre ki chamak roz e dahum mat poocho
lashkar e yazeed se nikal gaya ye kehta hua
sada baadshahi hai bas hussain ki
kyun na phir sada ho har malang aur faqeer ki
karbala waale hussain shah jee
maula hamare hussain shah jee
har dil ye pukare hussain shah jee
ajeeb jang thi wo jang e karbala jis mein
jo log qatl huwe thay wo log zinda hai
tum jo kehte ho ke wo jang thi shehzadon ki
ham bataate hai ke dono ki haqeeqat kya thi
lanatullah udhar salamullah idhar
wo umaiya ka pisar ye mohamed ka pisar
wo tha allah ke kaabe ko jalane waala
aur ye khaana e kaaba ko bachane waala
us ke lashkar ko mili zillat o ruswayi magar
is ke lashkar mein mila sab ko nishan e hyder
hussain jeet gaye aur yazeed haar gaya
aao zeeshan o irfan e aza
mil ke dete hai sada
lanat bar shajra e khabeesa
salaam bar shajra e taiyaba