Kanz e Aza

Jo Maango Wo

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

baabul hawaij ya abbas

saqqa e ahle haram

ooncha hai jiska alam

kaisa waseela rab ne diya hai

baabe hawaij jisko kaha hai

dunya se lau na lagao

dil ki muradein pao

aao dar e abbas pe aao

jholiyan phailao malango

jo maango wo mil jaayega


ye hazrate abbas ka dar hai

jo maango wo mil jaayega


apni kismat jagane aajao

apni mannat uthane aajao

dil ka jo haal hai na dil mein rakho

jo bhi gham hai sunane aajao

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


sab muradein yahan pe paoge

jholiyan apni bhar ke jaoge

kaise mumkin hai na sune ghazi

tum jo faryad le ke jaoge

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


bakht milta hai sikandar ko

bheek milti hai har tawangar ko

ye bulandi hai iske chaukat ki

aasman ne jhuka diya sar ko

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


sab ghamon ka elaaj hai ye dar

khush naseebi ka taaj hai ye dar

be-zaron ko bana diya buzar

kya sakhawat mizaaj hai ye dar

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


khaali daaman jo ho khwahar

nek aulaad maang le aakar

ye hai shabbir ka saqi bhai

jitne maango ataa karega pisar

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


barkate rizq ki dua maango

har maraz ki yahan shifa maango

bhool jaoge gham zamane ka

tum ghame shaahe karbala maango

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


zor e baazu shahe madina ka

ye chacha hai usi sakina ka

khaali lauta de ho nahi sakta

waasta do agar sakina ka

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


waasta do rida e zainab ka

pyase bacchon ka maanglo sadqa

waasta de ke bas hussain ka tum

dar pe ghazi ke ek baar zara

jholiyan phailao malango

jo maango wo...


ye jo kehta hai har ghadi safdar

baat sacchi bhi hai yehi mazhar

sab milega khuloose dil se agar

maula ghazi ke dar pe tum aakar

jholiyan phailao malango

jo maango wo...