Kanz e Aza

Kaash Abbas na maare jaate

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Kash Abbas Na Marey Jaate

Kaash abbas na maray jaatey


Is tarha lagh ti naa akber key kalejey mein sinah, Is tarha hoti naa sadaat key khaimo mei fughaan

Yun naa zainab key saharey jaatey


Kaash abbas na maray jaatey


Downo bazoo woh shehen shaa hai wafa key thaamey

Laashey abbas pey shabbir bukah kartey they

Bhaiyi tum baad hamarey jaatey


Kaash abbas na maray jaatey


Ghardaney shaa pey yun ran mei naa khanjar chalta

Yun naa khursheede imamat naa sarey maqtal dhalta

Yun sar neyzooh pey sar jaatey


Kaash abbas na maray jaatey


Hotey abbas dilawar to na khaimey jaltey

Shaam-e-Ghurbaat na sakina ko tamachey laghtey

Ghosh waarey naa utarey jaatey


Kaash abbas na maray jaatey


Hotey abbas tow chinti naa rida zainab ki

Paawo mei aabid-e-muztar key na beyri dalti

Taaziyaane bhi naa marey jaatey


Kaash abbas na maray jaatey


Hokey paabande rasan sayyad-e-sajjad chaley

Neher ko deikh ke rotey huwey yeh kehney laghey

Sab watan saath hamarey jaatey


Kaash abbas na maare jaate