kaha abbas ne ek aan may naksha palat jaye
ho izne sheh to nehre alqama laashon se pat jaye
kaha abbas ne…
alamdare hussaini hoo ijazat sheh ki gar paaun
karoo wo jang jange khyberi zehno se hat jaye
kaha abbas ne…
layeen ye kehke bhaage nehr se wo sher aata hai
nigahe kaher se jo dekhlein darya simat jaye
kaha abbas ne…
hussaini hoo mere qadmo ko jumbish ho nahi sakti
ala ta hai to dunya ki hawa ka rukh palat jaye
kaha abbas ne…
ye hasrat hai sana e murtaza may ghair ke haaton
zaban meri bhi misle meesame tammaar kat jaye
kaha abbas ne…
nabi se kaun baatein karta tha hojaye ye zaahir
ye parda darmiyan se gar shabe meraj hat jaye
kaha abbas ne…
dua khaaliq se uth'te baith'te karta hoo ye asghar
nabi ki aal hi ka zikr ho aur umr kat jaye
kaha abbas ne…