Kanz e Aza

Kaha Bano Nay Ye Ro Kaar

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Kaha Bano Nay Ye Ro Kaar Yehi Ghum Dil Ko Kata Hay.


Jo Akbar Bhool Jaata Hay, Toh Asghar Yaad Aata Hai.


Shah-e-Mazloom Paar Manzaar

Yeh Kaisa Baykasi Ka Hai (x2)

Kabhi Akbar Uthatha Hai,

Kabhi Asghar Ko Lata Hai.


May Aksar Raat Baar Pehloon

May Tujhko Dhoondti Asghar (x2)

Tera Woh Khoon Bara Chaira,

Nahin Ankhon Say Jaata Hai.


Laga Jab Teer Asghar Ko

Sakina Ro Kay Chilayi (x2)

Nahin Istaar Ha Bachon Ko,

Koyi Paani Pilaata Hai.


Khuda Kay Kaam May Masroof

Hai Kitna Laal Zahra Ka (x2)

Kabhi Khaimon Main Aata Hai,

Kabhi Maqtal Jo Jaata Hai.


Baari Mushkil Samayta Hai

Hassan Kay Laal Ko Shah Nay (x2)

Haar Ek Tukray Ko Chooma Hay

Kabhi Seena Lagata Hai.


Hassan Shaam-e-Gharibaan Ka

Woh Manzar Kistara Bhoolay (x2)

Koyi Khaimain Jalata Hai

Koyi Jhoola Jalata Hai.