Kanz e Aza

Kaha Ghareeb ka ghar

A noha (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Fatima zehra, fatima zehra..(2)

ghum e hussain mein kaisa sharaf ye paaya hai ke apne haatho'n se maine alam sajaya hai

suna hai aati hai majlis mein fatima zehra

ye baat soch ke farsh e azaa bichaya hai


karam ye majlis e shabbir ne kiya warna

kaha'n ghareeb ka ghar, aur kaha'n hussain ki maa..(2)

karam ye majlis e shabbir ne kiya warna

kaha'n ghareeb ka ghar, aur kaha'n hussain ki maa..(2)


1. Khabar hai binte rasool e khuda ke aane ki

badal rahi hai hawaein ghareeb khane ki..(2)

mera naseeb ke mehmaa'n hui meri zehra


kaha'n ghareeb ka ghar...


2. Farishte, shaah, gadagar sabhi hai peshe nazar

hai ambiya ki qatarein lagi mere ghar par..(2)

tumhare aane se bibi ye martaba paaya


kaha'n ghareeb ka ghar...


Ye majlis e shabbir mein behte hue aasu

firdaus ke bagho'n mein saja deti hai zehra

shehzadi zamee'n par ise girne nahi deti

bach jaye to kausar mein mila deti hai zehra


3. Ye nauha khwani ye soz o salam aur matam

hamare ashk hai bibi ke zakhm ka marham..(2)

agar na hote wasila ye matam o nauha


kaha'n ghareeb ka ghar...


4. Ghareeb khane ko jannat bana diya bibi

khushi ye aisi hai jisne rula diya bibi..(2)

har ek ashk ne aankho se girte girte kaha


kaha'n ghareeb ka ghar...


5. Sare hussain jo sheeree ke ghar mein aaya tha

sare hussain ke hamraah aayi thi zehra..(2)

jo dekha bibi ko sheeree ne ye kiya nauha


kaha'n ghareeb ka ghar...


Haye..

Jab kisi ghar mein koi mar jaye... mar jaye

duniya ghum baatne ko aati hai... aati hai

haye kitni ghareeb hai zehra...


pursa lene bhi chal ke aati hai

ya hussain, ya hussain..(2)

Ghar mein mere majlis hui aur bich gaya farsh e aza

zakir ne jab majlis padhi aur haal rukhsat ka jo padha


itna roi zehra..(2)


Farhan aur mazhar padha, nauha shahe mazloom ka

tha zikr jab ashoor ka, shabbir par khanjar chala


itna roi zehra..(2)


Dete rahe ehle azaa

ghazi ka pursa, sarwar ka pursa

akbar ka qasim ka asghar ka pursa


itna roi zehra..(2)


Zainab ka kulsum o fizza ka pursa

sajjad bali sakina ka pursa


itna roi zehra..(2)


Baali ka pursa, chadar ka pursa

aun o mohammad ka baqer ka pursa


itna roi zehra..(2)


Naizo pe rakhe har ek sar ka pursa

bibi tumhare har ek ghar ka pursa


itna roi zehra..(2)