kahan hai ghazi madad ko aaja
hussain tujhko bula raha hai
akela maqtal ko ja raha hai
kahan hai ghazi...
hamari nusrat ke waaste hi
pidar ne maanga khuda se tujhko
to phir kyun mujhko rula raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
kamar jhuki hai jawan beta
bula raha hai mai kaise jaun
andhera aankhon mein cha raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
mai suye qaima le jaun kaise
jawan ka laasha ay mere bhai
zaeef to ladkhada raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
duhaai deti hai ban mein zehra
sukoon dil ka qaraar mera
wo qabr e asghar bana raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
na dekho amma idhar na dekho
nazar jhukao moo apna phayro
lo shimr khanjar chala raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
tadap ke boli ye ban mein zehra
koi nahi hai kise bulaun
qayam dushman jala raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
ye bain karti ali ki beti
sakina kaise sahegi bhaiya
layeen tamache laga raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...
ye bain ahle haram ka sun ke
najaf ka qalb o jigar hai bekal
tadap ye nauha utha raha hai
kahan hai ghazi madad ko aaja
husain tujhko bula...
kahan hai ghazi...