Kanz e Aza

Laut Kar Aajao

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Najaf Murshidabadi. Lyrics in Roman Urdu.

qaime ke darwaze se ye di sakina ne sada

laut kar aajao wapas ho kahan ammu

ho gaya pardes mein ab jurm pani maangna

laut kar aajao waapas ho kahan ammu


hoo khadi qaime ke dar par khaali kooza thaam kar

pyaas ki shiddat nahi seh paungi mai lamha bhar

phat'ta hai gham se jigar aur khushk hai mera gala

laut kar aajao wapas...


yaad ab aate hai mujhko guzre jo yasrab mein din

saamne rakhte thay pani kuch zuban se bole bin

lamha bhar bhi pyaas ka ehsaas na hone diya

laut kar aajao wapas...


ho gaya maloom ab to pyaas kehte hai kise

kya khabar thi din ye mujhko bhi padenge dekhne

char saala umr mein ye dard hai sehna pada

laut kar aajao wapas...


paas aate thay hamesha meri ek aawaz par

dekh kar hairaan hoo ab badle se andaaz par

kyun nahi aate palat kar kya hui mujhse khata

laut kar aajao wapas...


kho na jaaye pyaas ki in wadiyon mein hum kahin

lag raha hai ab banegi shaam tak turbat yahin

daalne turbat pe pani aaoge kya ab chacha

laut kar aajao wapas...


sabr rakhe kis tarha se bhai bhi cheh maah ka

pani maange kis tahra se bhai bhi cheh maah ka

chand lamhon mein hai lagta aayegi usko qaza

laut kar aajao wapas...


mai bujha'ungi chacha jaan apne hi ashkon se pyaas

hai dua ke jald aao khairiyat se mere paas

ab kabhi na pyaas ka shikwa karungi ba-khuda

laut kar aajao wapas...


aap hote to munaver hoti meri kayenaat

aap ke bin ho gayi hai ab andheri kayenaat

likh ke ye nauha najaf bhi karta hai aah o buka

laut kar aajao wapas...