Kanz e Aza

Sabr Karna Meri

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Najaf Murshidabadi. Lyrics in Roman Urdu.

haye sakina haye sakina

sabr karna meri jaan sakina


maa ki aaghosh may kal se sona

yaad aaye meri jab na rona

mujhse itna karo aaj waada

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


jab na aaunga wapas mai ran se

baandhe jayenge shaane rasan se

aur rida sar se cheenenge aada

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


tum to poti ho shere khuda ki

aur abbas ki ho bhatiji

har musibat pe tum shukr karna

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


maarne mujhko aata hai zaalim

dekh kar muskurata hai zaalim

jaane do mujhko maqtal khudaara

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


misle abbas honga juda mai

na samajhna hoo tumse khafa mai

saath tere rahunga hamesha

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


kitne naazon se paala hai tujhko

hoti hai kya yateemi na poocho

keh na paaega tujhse ye baba

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


tera baba to zinda hai ab tak

sochta hoo rahunga mai kab tak

ho gaya hai ye dushman zamana

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


baap mar jaaye jiska ay beti

usko kehte hai daaghe yateemi

ab phupi hai tumhara sahara

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...


ay najaf rok apne qalam ko

thaam le badh ke sheh ke alam ko

padta reh yunhi nauha tu sheh ka

sabr karna meri jaan sakina

haye sakina haye sakina...