SAJJAD NE DE ROKE SADA HAYE SAKINA
Chord aaya hoon be gor-o-kafan baap ka lasha
Samaa’n yahan bhi to nahi hai ghusl-o-kafan ka
Kaise tujhe bhaye tera dafnae Sakina
Jab se chute baba se tujhe neend na aaye
Turbat mein sulata hai tujhe ab tera bhaye
Shayad tujhe ab chain se neend aaye Sakina
Tu margae behna mujhe kyun mout na aaye
Zanjeer mein jagda huwa majboor hai bhaye
Kaise tujhe seene se wo liptaye Sakina
Gardan pe abhi tak teri rassi ka nishaa’n hai Aur khoon abhi tak tare kanon mein rawan hai
Dunya ne sitam tujh pe bahot dhaye Sakina
Veraan nazar maa ki hai be sheer ka jhula
Chord aaye hai shismaahe ko jungle mein wo tanha
Kis tarha se dil maa ka sukoon paye sakina
Kis tarha se puri mein karun teri waseeyat
Kaise bane ab thandi jagah par teri turbat
Madfan hai tera qaid-e-sitam haye Sakina
Zainab yehi kehti thi Rasheed ashk baha kar
Abbas bhatiji ko zara dekho to aakar
Har bibi ke lab pe tha faqat haye Sakina