Kanz e Aza

Sakina Chup Kar Gayi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

shaam zindan e shaam shaam haye shaam


ay shamiyon chain se sona bacchi ne nahi ab rona

sakina chup kar gayi


sajjad utha kar bole masoom behen ka laasha

sakina chup kar gayi


baba ki yaad mein isne rone pe tamache khaaye

sone pe tamache khaaye

ay shaam ke zaalim logon apne bacchon se kehna

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


main kaise isay dafnaun mere haath bande hai dekho

zanjeer meri khulwa do

kurte ke kafan mein isko zindan mein hai dafnana

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


zindan mein hai kyun khamoshi jab shamiyon ne ye poocha

haste huwe shimr ye bola

neele rukhsaar thay jiske kehti thi jo baba baba

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


zakhmi qaidi aur pyasi ye chaar baras ki zahra

roti thi chupa kar chehra

aisi shiddat se moo par zaalim ne tamacha maara

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


bazaar e shaam mein is ko jab baaghi baaghi keh kar

sab maar rahe thay patthar

rote rote naize par ghazi ko jo rote dekha

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


haye shaam e ghariban mein jo is bacchi ke kaano se

zaalim ne jo aakar noche

baba se mile wo gohar ramla ko jo pehne dekha

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


maara gaya pyasa ghazi qaimon mein khabar jab aayi

pani jo maang rahi thi

jaane kab se thi pyasi phir usne na pani maanga

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


jab maar ke naiza tum ne naaqe se giraya isko

ro ro ke mar jaati wo

jab apne jaisi dekhi burqe mein ek zaeefa

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...


darvesh tadapta hai dil zeeshan tha manzar kaisa

zindan mein sar jab aaya

rote rote baba ke chehre par rakh kar chehra

sakina chup kar gayi

ay shamiyon chain se...