Kanz e Aza

Sakina dafn hoti hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Pukari banu e muztar sakina dafn hoti hai, Utho aye qasimo akbar sakina dafn hoti hai.

Kahan ho fatema zahra kaleja katt gaya mera, Bahu ko thaam lo aakar sakina dafn hoti hai.

Kafan ke waaste paaya badan ka ek phata kurta, Koyi waris nahi sar par sakina dafn hoti hai.

Khuda ke waaste logo mujhe bhi saat dafnado, Akeli kya karu jeekar sakina dafn hoti hai.

Yeh bachi kunbe waali hai bade nazo ki paali hai, Mai tanha chord du kispar sakina dafn hoti hai

Khade kya karte ho logon sab aake fateha padlo, Mujhe pursa do ro ro kar sakina dafn hoti.