Kanz e Aza

Sakina ka Ye Noha Tha

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

sakina ka ye nauha tha mere bhaiya chale aao

bahot zaalim hai ye aada mere bhaiya chale aao


tumhari muntazir hoon jab se tum ran ko sidhaare ho

nigahon pe na ab rasta mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


ridayein chin chuki hum lut chuke jalne lage qaime

ye manzar dekhne bhaiya mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


tumhare jaise kamsin raat ko baahar nahi jaate

hai kitna ran mein sannata mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


taras khaa kar to mere dushmano ne pani bheja hai

piyun mai kis tarha tanha mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


phupi ka ab tadapna mujhse to dekha nahi jaata

mera ye maan lo kehna mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


liye jaate hai aada qaid kar ke shaam ki jaanib

mai jaaungi nahi tanha mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


ali akbar ne lad ke khoon armaano ka kar daala

dikha doon ab tumhe sehra mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...


andhera cha raha hai aa rahi hai raat ki kaali

zaroori hogaya aana mere bhaiya chale aao

sakina ka ye nauha tha...