Kanz e Aza

Sakina ke Ye Bain

A noha written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

sakina ke ye bain thay ran mein ro kar

chalo karbala se chale bhai akbar


hai purhaul sehra qayamat ka manzar

chalo karbala se chale bhai akbar


chalo ab madine mein chal kar rahenge

na gauhar chinenge na durre lagenge

chacha ko bhi le aao ran se jaga kar

chalo karbala se...


qayamat ki garmi hai aur rayg e sehra

yahan neend kya tumko aayegi bhaiya

na takiya hai koi na hai koi bistar

chalo karbala se...


rida sar pe ahle haram ke nahi hai

sitam khez karbobala ki zameen hai

koi to madina mein de dega chaadar

chalo karbala se...


rasan se hai jakdi hui meri gardan

zamana hua deen e khaalik ka dushman

mere bhai akbar shabih e payambar

chalo karbala se...


mere khushk honton ko shadaab kar do

muhjhe aake kausar se sairaab kar do

ke ab tashnagi ban chuki hai samandar

chalo karbala se...


pase shaah badla hai aisa zamana

nahi sar chupane ka koi thikana

chini sar se chaadar jalaya gaya ghar

chalo karbala se...


abhi inqilaab aur aayenge bhaiya

abhi aake qaime jalayenge aada

hai shaam e ghariban ka toofan sar par

chalo karbala se...


khudara taras khao ahle haram par

jalane ko qaime bade hai sitamgar

bas ab is se pehle ke chin jaye gauhar

chalo karbala se...


hadh e ilteja ki hui khatm ishrat

chala khaafila bad gayi gham ki shiddat

yehi bain karti rahi binte sarwar

chalo karbala se...