akbar ke janaze par shabbir bahot roye
jab qatl huwe asghar shabbir bahot roye
maidan may jab pahunche haathon se kamar thaame
abbas ke laashe par shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
daaman ko sakina ke jab jalte huwe dekha
seene pa pade khanjar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
tar khoon se chehra tha aur teer badan may thay
nazrein padi maadar par shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
kubra ki jo haalat thi zainab se koi pooche
qasim huwe jab be-sar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
sajjad se jab milne ruqsat ke liye pahunche
zainab ne kaha ro kar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
naize ki balandi se sajjad ke bistar tak
jab sholon may dekha ghar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
jab tasht se sar aaya daaman may sakina ke
beti se galay mil kar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
ek aisi behan jiski aawaz thi parde may
dekha jo barehna sar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...
naize se barabar thi zainab pa nazar ishrat
jab cheeni gayi chadar shabbir bahot roye
akbar ke janaze par...