madina lut gaya wo waqt aaya
ya rasool allah
pasay sarwar tha ye zainab ka nauha
ya rasool allah
imam e waqt ko sajde may pyasa qatl kar daala
musalmano ne aisa zulm dhaaya ya rasool allah
ya rasool allah...
pasay shabbir jab koi nahi tha fauje aada ne
ridayein cheen li asbaab loota ya rasool allah
ya rasool allah...
layeeno ke mazaalim aur sitam ki inteha ye hai
jala daala ali asghar ka jhoola ya rasool allah
ya rasool allah...
yaqeen ahle haram ko hogaya sheh ki shahadat ka
kafan sandooq se jab laayi fizza ya rasool allah
ya rasool allah...
bataun kis zaban se mai mere mazloom bhai ne
uthaya kis tarha akbar ka laasha ya rasool allah
ya rasool allah...
janaza waalida ka shab ke parde may utha lekin
hamay beparda aada ne phiraya ya rasool allah
ya rasool allah...
udhar qasim ka laasha ghodon se pamaal hota tha
idhar hilta tha kubra ka kaleja ya rasool allah
ya rasool allah...
phupi nana ke rauze par chalo nana ke rauze par
yehi kehti thi ro ro kar sakina ya rasool allah
ya rasool allah...
akele sayyed e sajjad par laakhon mazaalim thay
nahi tha koi jo deta sahara ya rasool allah
ya rasool allah...
hua is darja sharminda meri bali sakina se
mere abbas ne darya basaya ya rasool allah
ya rasool allah...
bula leejega apne rauza e aqdas pa ishrat ko
pasand aajaye gar ishrat ka nauha ya rasool allah
ya rasool allah...