Kanz e Aza

Ye Sughra ne Likha

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ye sughra ne likha chale aaiyega

milay khat jo bhaiya chale aaiyega


udaasi ke jangal mein baithi hui hoo

madina hai soona chale aaiyega

ye sughra ne likha...


mazaar e mohamed pa karne charaghan

mai jaati hoo tanha chale aaiyega

ye sughra ne likha...


mai bemaariyon mein basar kar rahi hoo

ajal ka hai khatra chale aaiyega

ye sughra ne likha...


akele mera dam ghuta jaa raha hai

ghatane ko sadma chale aaiyega

ye sughra ne likha...


masayab ke lamhe uthaate uthaate

hai dil paara paara chale aaiyega

ye sughra ne likha...


mujhe chod kar karbala kyun gaye thay

karungi na shikwa chale aaiyega

ye sughra ne likha...


meri yaad jab bhi satayegi bhaiya

hai mujhko bharosa chale aaiyega

ye sughra ne likha...


agar mujhse thodi bahot hai mohabbat

chacha se bhi kehna chale aaiyega

ye sughra ne likha...


kiya sab ne aabaad karbobala ko

nahi koi apna chale aaiyega

ye sughra ne likha...


hazaron duayein mili tum ko ishrat

suna jis ne nauha chale aaiyega

ye sughra ne likha...