Kanz e Aza

Aalam o Masaib Mein

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

aalaam o masaib mein giraftar hai sughra

bemaar hai sughra lachaar hai sughra

aalamo masaib mein...


sab chor gaye amma phuphi aur biradar

socha na kisi ne bhi ke bemaar hai sughra

aalamo masaib mein...


sab bhool gaye jaake khabar tak nahi bheji

kya aisi furqat ki sazawaar hai sughra

aalamo masaib mein...


hai wajhe judaai yehi sehat ki kharaabi

ab apni hi bemaari se bezaar hai sughra

aalamo masaib mein...


milta hai sukoon din ko na neend aati hai shab ko

akbar teri aamad ki talabgaar hai sughra

aalamo masaib mein...


kam hoti nazar aati nahi ashk fishani

kuch aise hi haalaat se do char hai sughra

aalamo masaib mein...


karte hai anees aah o buka padke ye noha

kunbe ki judaai se dilafgaar hai sughra

aalamo masaib mein...